jab se hun halqa-ba-gosh-e-dar-e-mai-KHana-e-ishq
jab se huuñ halqa-ba-gosh-e-dar-e-mai-ḳhāna-e-ishq
shīsha pahlū meñ hai aur haath meñ paimāna-e-ishq
sarmadī ganj se māmūr hai vīrāna-e-ishq
nūr-e-irfāñ se hai labrez siyah-ḳhāna-e-ishq
ab na vo mai hai na vo gardish-e-paimāna-e-ishq
kaisī ḳhāmosh huī majlis-e-vīrāna-e-ishq
dīda-e-husn banā le ise surma apnā
rashk-e-iksīr hai ḳhākistar-e-parvāna-e-ishq
kyā ḳhabar is kī haqīqat se tujhe ai zāhid
sau tajallī kā mahal hai dar-e-kāshāna-e-ishq
bazm-e-ālam meñ bahaltā nahīñ ab dil apnā
le chal ai josh-e-junūñ jānib-e-vīrāna-e-ishq
terī hī zaat se qaa.em hai vajūd-e-insāñ
sho.ala-e-husn se hai hastī-e-parvāna-e-ishq
mil ga.ī is ko tirī yaad meñ aisī lazzat
hūr-o-firdaus se bezār hai dīvāna-e-ishq
jal-mare soz-e-mohabbat se sahar tak donoñ
sham-o-parvāna se pūchhe koī afsāna-e-ishq
donoñ aalam se sarokār nahīñ ab mujh ko
bas-ki hai pesh-e-nazar jalva-e-mastāna-e-ishq
har ghaḌī ruuh ko hotī hai na.ī ik farhat
ġhairat-e-gulshan-e-firdaus hai vīrāna-e-ishq
tum se hai rabt-e-ḳhudā-dād azal se mujh ko
sho.ala-e-husn jo tum ho to maiñ parvāna-e-ishq
mujh ko ishrat-kada-e-dahr se kyā kaam 'valī'
in dinoñ maiñ huuñ aur ik gosha-e-ġham-ḳhāna-e-ishq
jab se hun halqa-ba-gosh-e-dar-e-mai-KHana-e-ishq
shisha pahlu mein hai aur hath mein paimana-e-ishq
sarmadi ganj se mamur hai virana-e-ishq
nur-e-irfan se hai labrez siyah-KHana-e-ishq
ab na wo mai hai na wo gardish-e-paimana-e-ishq
kaisi KHamosh hui majlis-e-virana-e-ishq
dida-e-husn bana le ise surma apna
rashk-e-iksir hai KHakistar-e-parwana-e-ishq
kya KHabar is ki haqiqat se tujhe ai zahid
sau tajalli ka mahal hai dar-e-kashana-e-ishq
bazm-e-alam mein bahalta nahin ab dil apna
le chal ai josh-e-junun jaanib-e-virana-e-ishq
teri hi zat se qaem hai wajud-e-insan
shoala-e-husn se hai hasti-e-parwana-e-ishq
mil gai is ko teri yaad mein aisi lazzat
hur-o-firdaus se bezar hai diwana-e-ishq
jal-mare soz-e-mohabbat se sahar tak donon
sham-o-parwana se puchhe koi afsana-e-ishq
donon aalam se sarokar nahin ab mujh ko
bas-ki hai pesh-e-nazar jalwa-e-mastana-e-ishq
har ghaDi ruh ko hoti hai nai ek farhat
ghairat-e-gulshan-e-firdaus hai virana-e-ishq
tum se hai rabt-e-KHuda-dad azal se mujh ko
shoala-e-husn jo tum ho to main parwana-e-ishq
mujh ko ishrat-kada-e-dahr se kya kaam 'wali'
in dinon main hun aur ek gosha-e-gham-KHana-e-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.