jab se is diwar mein rauzan hue
jab se is dīvār meñ rauzan hue
jhāñkne vāloñ ke ghar raushan hue
āhaTeñ baḌhtī ga.iiñ dahlīz par
zard darvāzoñ ke pairāhan hue
us kī bātoñ se diloñ ke zer-o-bam
ek lamhe ke liye dhaḌkan hue
mere ḳhvāb aur us ke hāthoñ kī sutūr
ek hī to aag kā īñdhan hue
tum se mil kar saare lamhoñ ke 'azāb
jaise pahlī raat kī dulhan hue
jab se is diwar mein rauzan hue
jhankne walon ke ghar raushan hue
aahaTen baDhti gain dahliz par
zard darwazon ke pairahan hue
us ki baaton se dilon ke zer-o-bam
ek lamhe ke liye dhaDkan hue
mere KHwab aur us ke hathon ki sutur
ek hi to aag ka indhan hue
tum se mil kar sare lamhon ke 'azab
jaise pahli raat ki dulhan hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.