jab se junun ko qaim-bizzat kar liya hai
jab se junūñ ko qā.im-bizzāt kar liyā hai
duniyā se apne dil ko muhtāt kar liyā hai
maiñ kis ke ġham se apnī taskīn kar rahā huuñ
kis kī nafī ko apnā isbāt kar liyā hai
ik shahr ko baḌhā kar jangal banā rahā huuñ
ik abr ko ghaTā kar barsāt kar liyā hai
achchhī sī zindagī ab bāzār se ḳharīdo
marne kā sāz-o-sāmāñ ifrāt kar liyā hai
maazī ke 'arsh' ab tak kyoñ saath chal rahe haiñ
kyā jaane maiñ ne in ko kyoñ saath kar liyā hai
jab se junun ko qaim-bizzat kar liya hai
duniya se apne dil ko muhtat kar liya hai
main kis ke gham se apni taskin kar raha hun
kis ki nafi ko apna isbaat kar liya hai
ek shahr ko baDha kar jangal bana raha hun
ek abr ko ghaTa kar barsat kar liya hai
achchhi si zindagi ab bazar se KHarido
marne ka saz-o-saman ifraat kar liya hai
mazi ke 'arsh' ab tak kyon sath chal rahe hain
kya jaane main ne in ko kyon sath kar liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.