jab se Khaaron se dosti kar li
jab se ḳhāroñ se dostī kar lī
mujh se phūloñ ne dushmanī kar lī
vo zarā duur kyā gayā mujh se
aa.ine ne bhī be-ruḳhī kar lī
us kī har baat se ho tum raazī
ya.anī ki tum ne bandagī kar lī
kar rahā thā vo baat phūloñ kī
maiñ ne bhī baat aap kī kar lī
minnateñ karte kyā charāġhoñ se
ḳhud jale ḳhud hī raushnī kar lī
jis se kuchh ban paḌā na duniyā meñ
us ne ghabrā ke āshiqī kar lī
jab se KHaron se dosti kar li
mujh se phulon ne dushmani kar li
wo zara dur kya gaya mujh se
aaine ne bhi be-ruKHi kar li
us ki har baat se ho tum raazi
yani ki tum ne bandagi kar li
kar raha tha wo baat phulon ki
main ne bhi baat aap ki kar li
minnaten karte kya charaghon se
KHud jale KHud hi raushni kar li
jis se kuchh ban paDa na duniya mein
us ne ghabra ke aashiqi kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.