jab se kisi sanam ka afsana jaante hain
jab se kisī sanam kā afsāna jānte haiñ
har sañg-o-ḳhisht ko ham but-ḳhāna jānte haiñ
ai sham.a-e-husn-o-ḳhūbī dil hai vahī hamārā
mahfil meñ aap jis ko parvāna jānte haiñ
vo rashk-e-bāġh-e-rizvāñ jab tak na jalva-gar ho
ham rauza-e-iram ko vīrāna jānte haiñ
marqad pe kohkan ke ai 'faiz' yuuñ likhā hai
dīvāne haiñ jo mujh ko dīvāna jānte haiñ
jab se kisi sanam ka afsana jaante hain
har sang-o-KHisht ko hum but-KHana jaante hain
ai shama-e-husn-o-KHubi dil hai wahi hamara
mahfil mein aap jis ko parwana jaante hain
wo rashk-e-bagh-e-rizwan jab tak na jalwa-gar ho
hum rauza-e-iram ko virana jaante hain
marqad pe kohkan ke ai 'faiz' yun likha hai
diwane hain jo mujh ko diwana jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.