jab se majhi ne dushmani kar li
jab se mājhī ne dushmanī kar lī
ham ne naav se dostī kar lī
bhuuk ḳhvāboñ pe paḌ ga.ī bhārī
ghar se bhāge to naukrī kar lī
dekh kar us kī aañkh meñ paanī
ek dariyā ne ḳhud-kushī kar lī
baat rakh kar ke sāmne sab ke
baat apnī hī phir burī kar lī
jab se majhi ne dushmani kar li
hum ne naw se dosti kar li
bhuk KHwabon pe paD gai bhaari
ghar se bhage to naukri kar li
dekh kar us ki aankh mein pani
ek dariya ne KHud-kushi kar li
baat rakh kar ke samne sab ke
baat apni hi phir buri kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.