jab se marqum ho gaya hun main
jab se marqūm ho gayā huuñ maiñ
naqsh-e-mafhūm ho gayā huuñ maiñ
zillatoñ ne panāh māñgī hai
itnā mazmūm ho gayā huuñ maiñ
pūchho maslūb karne vāloñ se
ab to ma.asūm ho gayā huuñ maiñ
jo azal se na thā muqaddar meñ
us se mahrūm ho gayā huuñ maiñ
kaisā mausam hai is ilāqe kā
jis se masmūm ho gayā huuñ maiñ
apnī qismat se maat khā kar bhī
terā maqsūm ho gayā huuñ maiñ
muskurāhaT nagar meñ ai 'aḳhtar'
aa ke maġhmūm ho gayā huuñ maiñ
jab se marqum ho gaya hun main
naqsh-e-mafhum ho gaya hun main
zillaton ne panah mangi hai
itna mazmum ho gaya hun main
puchho maslub karne walon se
ab to masum ho gaya hun main
jo azal se na tha muqaddar mein
us se mahrum ho gaya hun main
kaisa mausam hai is ilaqe ka
jis se masmum ho gaya hun main
apni qismat se mat kha kar bhi
tera maqsum ho gaya hun main
muskurahaT nagar mein ai 'aKHtar'
aa ke maghmum ho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.