jab se na-danon ne KHud ko fani kahna chhoD diya
jab se nā-dānoñ ne ḳhud ko faanī kahnā chhoḌ diyā
ham ne apnī hairat ko hairānī kahnā chhoḌ diyā
dariyā terī 'azmat par bhī ye ilzām to aa.egā
āḳhir pyāse logoñ ne kyoñ paanī kahnā chhoḌ diyā
socho kitnī māyūsī kā mausam hai is bastī meñ
logoñ ne be-mā'nī ko be-mā'nī kahnā chhoḌ diyā
merā in tūfānoñ se to bas itnā sā jhagḌā hai
maiñ ne tez havāoñ ko tūfānī kahnā chhoḌ diyā
jin kī rā'nā.ī ke pīchhe sau-sau jhuuT kī parteñ haiñ
ham ne aise chehroñ ko nūrānī kahnā chhoḌ diyā
maanā us ne sabz fazā.eñ sahrā sahrā kar Dālīñ
tum ne kyoñ vīrānī ko vīrānī kahnā chhoḌ diyā
mere ġham kā shāyad tum ko is se kuchh andāza ho
maiñ ne us kī chūnar ko ab dhānī kahnā chhoḌ diyā
jab se na-danon ne KHud ko fani kahna chhoD diya
hum ne apni hairat ko hairani kahna chhoD diya
dariya teri 'azmat par bhi ye ilzam to aaega
aaKHir pyase logon ne kyon pani kahna chhoD diya
socho kitni mayusi ka mausam hai is basti mein
logon ne be-ma'ni ko be-ma'ni kahna chhoD diya
mera in tufanon se to bas itna sa jhagDa hai
main ne tez hawaon ko tufani kahna chhoD diya
jin ki ra'nai ke pichhe sau-sau jhuT ki parten hain
hum ne aise chehron ko nurani kahna chhoD diya
mana us ne sabz fazaen sahra sahra kar Dalin
tum ne kyon virani ko virani kahna chhoD diya
mere gham ka shayad tum ko is se kuchh andaza ho
main ne us ki chunar ko ab dhani kahna chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.