jab se nasib mera Thikane pe aa gaya
jab se nasīb merā Thikāne pe aa gayā
ḳhud hī shikār merā nishāne pe aa gayā
pardā-nashīn parda-nashīnī meñ gum rahe
ilzām mere aañkh uThāne pe aa gayā
jis ko samajh rahā thā faqat āstīñ kā saañp
vo saañp mere dil ke ḳhazāne pe aa gayā
hāthoñ se us ke chhūT ga.iiñ raunaqeñ tamām
insān jab se aab pe daane pe aa gayā
tahqīq kī to apne muqābil thā merā aap
jab maiñ tabāhiyoñ ke dahāne pe aa gayā
ham ne lahū se jis ko jalāyā muñDer par
ab vo charāġh ghar ko jalāne pe aa gayā
'ārif-nazīr’ shauq se piine ko ā.eñge
tishna-laboñ ko tū jo pilāne pe aa gayā
jab se nasib mera Thikane pe aa gaya
KHud hi shikar mera nishane pe aa gaya
parda-nashin parda-nashini mein gum rahe
ilzam mere aankh uThane pe aa gaya
jis ko samajh raha tha faqat aastin ka sanp
wo sanp mere dil ke KHazane pe aa gaya
hathon se us ke chhuT gain raunaqen tamam
insan jab se aab pe dane pe aa gaya
tahqiq ki to apne muqabil tha mera aap
jab main tabahiyon ke dahane pe aa gaya
hum ne lahu se jis ko jalaya munDer par
ab wo charagh ghar ko jalane pe aa gaya
'arif-nazir’ shauq se pine ko aaenge
tishna-labon ko tu jo pilane pe aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.