jab se nazar se dur wo pyare chale gae
jab se nazar se dur wo pyare chale gae
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
jab se nazar se duur vo pyāre chale ga.e
vo shaam vo sahar vo nazāre chale ga.e
rasm-e-vafā na pyaar kī pahlī sī riit hai
jaane kahāñ vo priit ke dhāre chale ga.e
ham khelte hī rah ga.e tūfān-o-mauj se
aa aa ke paas duur kināre chale ga.e
manzil kī dhun meñ raahī ne dekhā na ik nazar
dilkash maqām karte ishāre chale ga.e
ātish-fishāñ sā siina bhī ab sard ho gayā
sho.ale chale ga.e vo sharāre chale ga.e
suunā hai husn aur fazā.eñ udaas haiñ
mahfil se jab vo ishq ke maare chale ga.e
saudā nahīñ ye ishq kī baazī hai be-ḳhabar
jiite vahī jahāñ meñ jo haare chale ga.e
dair-o-haram se duur tire āstāñ se duur
ham rahguzar meñ raat guzāre chale ga.e
mahfil baḌhāo sham.a ko bhī gul karo ki ab
vo dost vo 'habīb' vo pyāre chale ga.e
jab se nazar se dur wo pyare chale gae
wo sham wo sahar wo nazare chale gae
rasm-e-wafa na pyar ki pahli si rit hai
jaane kahan wo prit ke dhaare chale gae
hum khelte hi rah gae tufan-o-mauj se
aa aa ke pas dur kinare chale gae
manzil ki dhun mein rahi ne dekha na ek nazar
dilkash maqam karte ishaare chale gae
aatish-fishan sa sina bhi ab sard ho gaya
shoale chale gae wo sharare chale gae
suna hai husn aur fazaen udas hain
mahfil se jab wo ishq ke mare chale gae
sauda nahin ye ishq ki bazi hai be-KHabar
jite wahi jahan mein jo haare chale gae
dair-o-haram se dur tere aastan se dur
hum rahguzar mein raat guzare chale gae
mahfil baDhao shama ko bhi gul karo ki ab
wo dost wo 'habib' wo pyare chale gae
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 27)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.