jab se saqi ne diya hai jam mere hath mein
jab se saaqī ne diyā hai jaam mere haath meñ
hai nizām-e-gardish-e-ayyām mere haath meñ
kyā nahīñ hai ai dil-e-nākām mere haath meñ
ranj mere haath meñ ālām mere haath meñ
kaun jaane kis ke rangīñ ḳhvāb kā ho ye mahal
aa gayā ik nāma-e-gumnām mere haath meñ
jab hai mujh ko sāqī-e-gulfām kī sohbat nasīb
kyoñ na ho phir rāhat-o-ālām mere haath meñ
zindagī meñ jab bhī maiñ ne mai-kade kā ruḳh kiyā
aa gayā lahrā ke aksar jaam mere haath meñ
un ke hisse meñ masarrat kī bahāreñ aa ga.iiñ
aa gayā sarmāya-e-ālām mere haath meñ
mere qadmoñ meñ haiñ ab donoñ jahāñ kī ne.amateñ
aa gayā hai jab se 'rahbar' jaam mere haath meñ
jab se saqi ne diya hai jam mere hath mein
hai nizam-e-gardish-e-ayyam mere hath mein
kya nahin hai ai dil-e-nakaam mere hath mein
ranj mere hath mein aalam mere hath mein
kaun jaane kis ke rangin KHwab ka ho ye mahal
aa gaya ek nama-e-gumnam mere hath mein
jab hai mujh ko saqi-e-gulfam ki sohbat nasib
kyon na ho phir rahat-o-alam mere hath mein
zindagi mein jab bhi main ne mai-kade ka ruKH kiya
aa gaya lahra ke aksar jam mere hath mein
un ke hisse mein masarrat ki bahaaren aa gain
aa gaya sarmaya-e-alam mere hath mein
mere qadmon mein hain ab donon jahan ki neamaten
aa gaya hai jab se 'rahbar' jam mere hath mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.