Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se teri aankh humse phir gai

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

jab se teri aankh humse phir gai

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    jab se terī aañkh ham se phir ga.ī

    halqa-e-ġham meñ tabī.at ghir ga.ī

    fauj-e-mizhgāñ meñ mere ḳhuuñ ke liye

    chashm gardish se kauḌī phir ga.ī

    mohtasib aañkh par jab se chaḌhī

    duḳht-e-raz shīshe ke dil se gir ga.ī

    nā-tavānoñ ke liye tūfān kyā

    qatra-e-shabnam meñ juuhī tar ga.ī

    sāqiyā koī balā thā mohtasib

    ḳhairiyat guzrī jo ḳhum ke sir ga.ī

    murda merā dekh kar bolā vo shoḳh

    kyoñ 'nasīm' ab aañkh terī phir ga.ī

    jab se teri aankh hum se phir gai

    halqa-e-gham mein tabiat ghir gai

    fauj-e-mizhgan mein mere KHun ke liye

    chashm ki gardish se kauDi phir gai

    mohtasib ki aankh par jab se chaDhi

    duKHt-e-raz shishe ke dil se gir gai

    na-tawanon ke liye tufan kya

    qatra-e-shabnam mein juhi tar gai

    saqiya koi bala tha mohtasib

    KHairiyat guzri jo KHum ke sir gai

    murda mera dekh kar bola wo shoKH

    kyon 'nasim' ab aankh teri phir gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now