jab se tum aa gae fasane mein
jab se tum aa ga.e fasāne meñ
tazkira hai mirā zamāne meñ
aañkh dil ruuh muntazir hai tirī
der kyoñ ho rahī hai aane meñ
nūr-o-ḳhushbū se ghar huā māmūr
aa ga.e tum ġharīb-ḳhāne meñ
bhuul jaao kahā faqat us ne
umr lag jā.egī bhulāne meñ
barq to duur hī se chamkī thī
lag ga.ī aag āshiyāne meñ
ek adnā ḳhushī bhī mil na sakī
kyā kamī thī tire ḳhazāne meñ
un ke aiboñ ko jāntā huuñ magar
vo baḌe haiñ mire gharāne meñ
qatl karte haiñ chhūT jaate haiñ
khel daulat kā hai zamāne meñ
us ne dekhā hai muskurā ke 'ayāz'
tanz maḳhfī hai muskurāne meñ
jab se tum aa gae fasane mein
tazkira hai mera zamane mein
aankh dil ruh muntazir hai teri
der kyon ho rahi hai aane mein
nur-o-KHushbu se ghar hua mamur
aa gae tum gharib-KHane mein
bhul jao kaha faqat us ne
umr lag jaegi bhulane mein
barq to dur hi se chamki thi
lag gai aag aashiyane mein
ek adna KHushi bhi mil na saki
kya kami thi tere KHazane mein
un ke aibon ko jaanta hun magar
wo baDe hain mere gharane mein
qatl karte hain chhuT jate hain
khel daulat ka hai zamane mein
us ne dekha hai muskura ke 'ayaz'
tanz maKHfi hai muskurane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.