jab se tu be-naqab hai pyare
jab se tū be-naqāb hai pyāre
har nazar kāmyāb hai pyāre
tujh ko dekhūñ to kis tarah dekhūñ
tū ki ik āftāb hai pyāre
merī āñkhoñ meñ dekh kaif-e-jamāl
kaisī achchhī sharāb hai pyāre
jis ko tū ne banā liyā apnā
vahī dil intiḳhāb hai pyāre
terī furqat meñ terī duurī meñ
hālat-e-dil ḳharāb hai pyāre
terā milnā to koī baat nahīñ
tujh se milnā azaab hai pyāre
zarre zarre meñ tujh ko dekh liyā
ab nazar bāryāb hai pyāre
dard par jab se mehrbān hai tū
dahr meñ inqalāb hai pyāre
jab se tu be-naqab hai pyare
har nazar kaamyab hai pyare
tujh ko dekhun to kis tarah dekhun
tu ki ek aaftab hai pyare
meri aankhon mein dekh kaif-e-jamal
kaisi achchhi sharab hai pyare
jis ko tu ne bana liya apna
wahi dil intiKHab hai pyare
teri furqat mein teri duri mein
haalat-e-dil KHarab hai pyare
tera milna to koi baat nahin
tujh se milna azab hai pyare
zarre zarre mein tujh ko dekh liya
ab nazar baryab hai pyare
dard par jab se mehrban hai tu
dahr mein inqalab hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.