jab se un se apna yarana hua
jab se un se apnā yārāna huā
apnā dil apnoñ se begāna huā
dil meñ jab se vo hue masnad-nashīñ
yak-ba-yak ābād vīrāna huā
yaar ke dar kī gadā.ī kyā milī
ab mizāj apnā ye shāhāna huā
jo firāq-e-yār meñ aañsū bahā
gir ke dāman meñ vo durdāna huā
aap kā āshiq faqat maiñ hī nahīñ
ik zamāna hai jo dīvāna huā
mere ghar jab se ki tum aane lage
ġhairat-e-jannat ye kāshāna huā
sham.a-e-rū-e-ahmad-e-muḳhtār par
ye dil-e-dīvāna parvāna huā
jām-e-mai lene na paayā thā abhī
dekh kar saaqī ko mastāna huā
ai sabā aatī hai tujh se bū-e-dost
yaar ke gesū meñ kyā shāna huā
dam-ba-dam aane lage dil meñ mire
ġham-kada un kā jilau-ḳhāna huā
baḌh gayā hai is qadar josh-e-junūñ
har jagah merā hī afsāna huā
dekh lī duniyā kī hālat ai 'qamar'
āj-kal apnā yahī begāna huā
jab se un se apna yarana hua
apna dil apnon se begana hua
dil mein jab se wo hue masnad-nashin
yak-ba-yak aabaad virana hua
yar ke dar ki gadai kya mili
ab mizaj apna ye shahana hua
jo firaq-e-yar mein aansu baha
gir ke daman mein wo durdana hua
aap ka aashiq faqat main hi nahin
ek zamana hai jo diwana hua
mere ghar jab se ki tum aane lage
ghairat-e-jannat ye kashana hua
shama-e-ru-e-ahmad-e-muKHtar par
ye dil-e-diwana parwana hua
jam-e-mai lene na paya tha abhi
dekh kar saqi ko mastana hua
ai saba aati hai tujh se bu-e-dost
yar ke gesu mein kya shana hua
dam-ba-dam aane lage dil mein mere
gham-kada un ka jilau-KHana hua
baDh gaya hai is qadar josh-e-junun
har jagah mera hi afsana hua
dekh li duniya ki haalat ai 'qamar'
aaj-kal apna yahi begana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.