jab se usko nazar mein rakkha hai
jab se us ko nazar meñ rakkhā hai
hosh ko ham ne ghar meñ rakkhā hai
aañkh hairān hai ki ham ne bhī
kyā nazāra nazar meñ rakkhā hai
hausloñ se uḌaan bhar pyāre
kyā bhalā bāl-o-par meñ rakkhā hai
bāharī rañg-o-nūr ḳhuub sahī
par ḳhazāna to ghar meñ rakkhā hai
hai faqat ādatoñ kā ik daftar
varna kyā ḳhaak ghar meñ rakkhā hai
paañv kis rahguzar meñ rakhnā thā
paañv kis rahguzar meñ rakkhā hai
haañ ye terā hī naam hai haañ haañ
jo mirī chashm-e-tar meñ rakkhā hai
hai faqat garm jhuuT kā bāzār
kyā bhalā ab ḳhabar meñ rakkhā hai
jo utārā na jā sake ham se
ham ne vo saudā sar meñ rakhā hai
āḳhirat an-qarīb hai 'qādir'
kyā kyā zād-e-safar meñ rakkhā hai
jab se us ko nazar mein rakkha hai
hosh ko hum ne ghar mein rakkha hai
aankh hairan hai ki hum ne bhi
kya nazara nazar mein rakkha hai
hauslon se uDan bhar pyare
kya bhala baal-o-par mein rakkha hai
bahari rang-o-nur KHub sahi
par KHazana to ghar mein rakkha hai
hai faqat aadaton ka ek daftar
warna kya KHak ghar mein rakkha hai
panw kis rahguzar mein rakhna tha
panw kis rahguzar mein rakkha hai
han ye tera hi nam hai han han
jo meri chashm-e-tar mein rakkha hai
hai faqat garm jhuT ka bazar
kya bhala ab KHabar mein rakkha hai
jo utara na ja sake hum se
hum ne wo sauda sar mein rakha hai
aaKHirat an-qarib hai 'qadir'
kya kya zad-e-safar mein rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.