jab se us shoKH ke pahlu mein jagah pai hai
jab se us shoḳh ke pahlū meñ jagah paa.ī hai
dil ke vīrān gulistāñ meñ bahār aa.ī hai
ab to chilman ruḳh-e-raushan se haTā de jānāñ
dil tirī diid kā barsoñ se tamannā.ī hai
ajab andāz se luuTā hai matā-e-dil ko
kitnī pur-kaif mirī jaañ tirī añgḌā.ī hai
Duub jāoge agar us se milā.īñ nazreñ
us kī āñkhoñ meñ samundar kī sī gahrā.ī hai
dekh pachhtā.egā dil toḌ ke jaane vaale
kaun hai mere sivā jo tirā shaidā.ī hai
buġhz-o-nafrat ke sivā aur yahāñ kuchh bhī nahīñ
zindagī merī mujhe 'dard' kahāñ laa.ī hai
jab se us shoKH ke pahlu mein jagah pai hai
dil ke viran gulistan mein bahaar aai hai
ab to chilman ruKH-e-raushan se haTa de jaanan
dil teri did ka barson se tamannai hai
ajab andaz se luTa hai mata-e-dil ko
kitni pur-kaif meri jaan teri angDai hai
Dub jaoge agar us se milain nazren
us ki aankhon mein samundar ki si gahrai hai
dekh pachhtaega dil toD ke jaane wale
kaun hai mere siwa jo tera shaidai hai
bughz-o-nafrat ke siwa aur yahan kuchh bhi nahin
zindagi meri mujhe 'dard' kahan lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.