jab se wo dur ho gaya mujhse
jab se vo duur ho gayā mujh se
kho gayā merā hī pata mujh se
merā nuqsān har tarah se hai
māñgtā hai vo mashvara mujh se
kyā mirī ahmiyat baḌhī hai idhar
shahr meñ kyuuñ haiñ sab ḳhafā mujh se
aur kuchh ruḳh nikālne ke liye
sunñā chāhegā vāqi.a mujh se
merī duniyā mirā jahān hai vo
jis kī duniyā hai kuchh judā mujh se
haa.e kis phuul kī ye ḳhushbū hai
pūchhtī rah ga.ī 'sabā' mujh se
jab se wo dur ho gaya mujh se
kho gaya mera hi pata mujh se
mera nuqsan har tarah se hai
mangta hai wo mashwara mujh se
kya meri ahmiyat baDhi hai idhar
shahr mein kyun hain sab KHafa mujh se
aur kuchh ruKH nikalne ke liye
sunna chahega waqia mujh se
meri duniya mera jahan hai wo
jis ki duniya hai kuchh juda mujh se
hae kis phul ki ye KHushbu hai
puchhti rah gai 'saba' mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.