jab shaKH-e-gul chaTaKH ke giri raaz ki tarah
jab shāḳh-e-gul chaTaḳh ke girī raaz kī tarah
ḳhushbū kā dil laraz uThā āvāz kī tarah
vo dhuul jis ko dī na kisī shahr ne amaañ
lipTī huī hai paañv se dam-sāz kī tarah
itnā havās-gīr thā sūraj kā iztirāb
manzar badal ga.e tire andāz kī tarah
paañv tale zamīñ nahīñ lekin ḳhalāoñ se
rishta milā rahā huuñ rag-e-sāz kī tarah
is munjamid sukūt meñ 'ḳhālid' mirī sadā
pathrā ga.ī hai hasrat-e-parvāz kī tarah
jab shaKH-e-gul chaTaKH ke giri raaz ki tarah
KHushbu ka dil laraz uTha aawaz ki tarah
wo dhul jis ko di na kisi shahr ne aman
lipTi hui hai panw se dam-saz ki tarah
itna hawas-gir tha suraj ka iztirab
manzar badal gae tere andaz ki tarah
panw tale zamin nahin lekin KHalaon se
rishta mila raha hun rag-e-saz ki tarah
is munjamid sukut mein 'KHalid' meri sada
pathra gai hai hasrat-e-parwaz ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.