jab sham baDhi raat ka chaqu nikal aaya
jab shaam baḌhī raat kā chāqū nikal aayā
is biich tirī yaad kā pahlū nikal aayā
vo shaḳhs ki miTTī kā thā jab haath lagāyā
chehra nikal aayā kabhī baazū nikal aayā
kuchh roz to do jism aur ik jaan rahe ham
phir silsila-e-harf-e-man-o-tū nikal aayā
dekhā ki hai bāzār yahāñ naf-o-zarar kā
vo tiir ki thā dil meñ tarāzū nikal aayā
thā band charāġh-e-ġhazal ik ġhaar meñ pahle
māñjhā hai 'suhail' us ko to jaadū nikal aayā
jab sham baDhi raat ka chaqu nikal aaya
is bich teri yaad ka pahlu nikal aaya
wo shaKHs ki miTTi ka tha jab hath lagaya
chehra nikal aaya kabhi bazu nikal aaya
kuchh roz to do jism aur ek jaan rahe hum
phir silsila-e-harf-e-man-o-tu nikal aaya
dekha ki hai bazar yahan naf-o-zarar ka
wo tir ki tha dil mein taraazu nikal aaya
tha band charagh-e-ghazal ek ghaar mein pahle
manjha hai 'suhail' us ko to jadu nikal aaya
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 267)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.