jab shab-e-furqat ki tariki se ghabraata hun main
jab shab-e-furqat kī tārīkī se ghabrātā huuñ maiñ
terī yādoñ se dil-e-muztar ko bahlātā huuñ maiñ
jab kisī zohrā-jabīñ ko sāmne paatā huuñ maiñ
hosh kī har dastaras se duur ho jaatā huuñ maiñ
ārzūeñ laakh hotī haiñ mire dil meñ magar
sāmne aate ho jab tum kuchh na kah paatā huuñ maiñ
sust-rau hotī hai jab rāh-e-talab meñ justujū
sho.ala-e-azm-o-amal se dil ko garmātā huuñ maiñ
chhoḌ de us be-muravvat kī tamannā chhoḌ de
rāt-din ye baat apne dil ko samjhātā huuñ maiñ
jab kabhī guzre dinoñ kī yaad aatī hai mujhe
dil taḌaptā hai mirā aur ashk barsātā huuñ maiñ
sāġhar-e-sahbā se 'nayyar' kyā ġharaz mujh ko bhalā
pī ke un kī mai-fishāñ nazroñ se lahrātā huuñ maiñ
jab shab-e-furqat ki tariki se ghabraata hun main
teri yaadon se dil-e-muztar ko bahlata hun main
jab kisi zohra-jabin ko samne pata hun main
hosh ki har dastaras se dur ho jata hun main
aarzuen lakh hoti hain mere dil mein magar
samne aate ho jab tum kuchh na kah pata hun main
sust-rau hoti hai jab rah-e-talab mein justuju
shoala-e-azm-o-amal se dil ko garmata hun main
chhoD de us be-murawwat ki tamanna chhoD de
raat-din ye baat apne dil ko samjhata hun main
jab kabhi guzre dinon ki yaad aati hai mujhe
dil taDapta hai mera aur ashk barsata hun main
saghar-e-sahba se 'nayyar' kya gharaz mujh ko bhala
pi ke un ki mai-fishan nazron se lahraata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.