jab shahr-e-dil mein paD gae us zar-badan ke panw
jab shahr-e-dil mein paD gae us zar-badan ke panw
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
jab shahr-e-dil meñ paḌ ga.e us zar-badan ke paañv
paḌte nahīñ zamīn pe ab is chaman ke paañv
vo kaun aaj rātoñ meñ ghar se nikal paḌā
uThne lage haiñ shahr kī samt aaj ban ke paañv
laao to dho duuñ ashk se vo paañv maiñ zarā
terī galī se aa.e haiñ us barhaman ke paañv
kahtā huuñ dil meñ aane ko aatā nahīñ hai vo
rakhtā nahīñ hai sil pe vo apne sanam ke paañv
aayā to dil meñ baiTh gayā ban ke devtā
uTThe nahīñ haiñ 'ishq-e-dil-e-but-shikan ke paañv
‘irfān-e-'ishq toḌ de zanjīr-e-fe’l ko
ruk jaa.eñ apne aap hī āvāgavan ke paañv
ab tak hai qalb-e-'shams' se raushan ye ḳhalq bas
ik baar paḌ ga.e the jo sho’la-badan ke paañv
saare tamaddunoñ kā hai ḳhatre meñ ab vajūd
thamte nahīñ haiñ par kabhī gang-o-jaman ke paañv
jab shahr-e-dil mein paD gae us zar-badan ke panw
paDte nahin zamin pe ab is chaman ke panw
wo kaun aaj raaton mein ghar se nikal paDa
uThne lage hain shahr ki samt aaj ban ke panw
lao to dho dun ashk se wo panw main zara
teri gali se aae hain us barhaman ke panw
kahta hun dil mein aane ko aata nahin hai wo
rakhta nahin hai sil pe wo apne sanam ke panw
aaya to dil mein baiTh gaya ban ke dewta
uTThe nahin hain 'ishq-e-dil-e-but-shikan ke panw
‘irfan-e-'ishq toD de zanjir-e-fe’l ko
ruk jaen apne aap hi aawagawan ke panw
ab tak hai qalb-e-'shams' se raushan ye KHalq bas
ek bar paD gae the jo sho’la-badan ke panw
sare tamaddunon ka hai KHatre mein ab wajud
thamte nahin hain par kabhi gang-o-jaman ke panw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.