jab sitare safar ke dekhenge
jab sitāre safar ke dekheñge
pahle āñkhoñ meñ Dar ke dekheñge
jab bhī un se muḳhātabat hogī
chashm-e-girya ko bhar ke dekheñge
aise sannāTe ham pe guzre haiñ
ab to ḳhud meñ utar ke dekheñge
ham-safar rāstoñ ke the donoñ
ab akele guzar ke dekheñge
un ko apnī nigāh meñ rakh kar
aaj thoḌā sañvar ke dekheñge
ham 'shafaq' shaam ke añdheroñ par
koī ilzām dhar ke dekheñge
jab sitare safar ke dekhenge
pahle aankhon mein Dar ke dekhenge
jab bhi un se muKHatabat hogi
chashm-e-girya ko bhar ke dekhenge
aise sannaTe hum pe guzre hain
ab to KHud mein utar ke dekhenge
ham-safar raston ke the donon
ab akele guzar ke dekhenge
un ko apni nigah mein rakh kar
aaj thoDa sanwar ke dekhenge
hum 'shafaq' sham ke andheron par
koi ilzam dhar ke dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.