jab soz dua mein Dhalta hai
jab soz duā meñ Dhaltā hai
hoñToñ pe dīpak jaltā hai
masjid kī zamīñ pe sarv-e-duā
aahoñ kī lū meñ phaltā hai
ik sajda dil ke māthe par
har pichhlī raat machaltā hai
palkoñ pe larazte ashkoñ se
darvesh kā ruup ujaltā hai
ġhusse ko pī ke rind razā
nashshe meñ phuul ugaltā hai
ḳhvāhish ke ḳhuuñ kī barkhā se
kirdār kā buuTā paltā hai
allāh se aañkh laḌāne pe
shaitāñ ko insāñ khaltā hai
jab soz dua mein Dhalta hai
honTon pe dipak jalta hai
masjid ki zamin pe sarw-e-dua
aahon ki lu mein phalta hai
ek sajda dil ke mathe par
har pichhli raat machalta hai
palkon pe larazte ashkon se
darwesh ka rup ujalta hai
ghusse ko pi ke rind raza
nashshe mein phul ugalta hai
KHwahish ke KHun ki barkha se
kirdar ka buTa palta hai
allah se aankh laDane pe
shaitan ko insan khalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.