jab sub.h huī aa.ī jab sāñjh Dhalī aa.ī
hai yaad tirī tujh sī be-bāk chalī aa.ī
thā be-numū sā mujh meñ ik paudhā mohabbat kā
ye mo.ajiza hai terā jo is pe kalī aa.ī
ehsān havā kā hai bekal mirī sāñsoñ pe
ḳhushbū tire dāman kī le kar ye chalī aa.ī
āvāz tirī ran-jhan paa.el kī ho jaise dhun
bātoñ meñ tirī ghul ke misrī kī Dalī aa.ī
raftār achānak hī dhaḌkan kī baḌhī jaa.e
ye dil kā ishāra hai ab terī galī aa.ī
kyoñ shaam lagā aa.ī vo surḳh tirī biñdī
aur hāthoñ meñ ye terī mehñdī bhī malī aa.ī
ruḳhsār pe hai laalī māthe pe pasīna hai
le ruup tirā le ke ab sub.h chalī aa.ī
jab subh hui aai jab sanjh Dhali aai
hai yaad teri tujh si be-bak chali aai
tha be-numu sa mujh mein ek paudha mohabbat ka
ye moajiza hai tera jo is pe kali aai
ehsan hawa ka hai bekal meri sanson pe
KHushbu tere daman ki le kar ye chali aai
aawaz teri ran-jhan pael ki ho jaise dhun
baaton mein teri ghul ke misri ki Dali aai
raftar achanak hi dhaDkan ki baDhi jae
ye dil ka ishaara hai ab teri gali aai
kyon sham laga aai wo surKH teri bindi
aur hathon mein ye teri mehndi bhi mali aai
ruKHsar pe hai lali mathe pe pasina hai
le rup tera le ke ab subh chali aai
Source :
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.