jab sulagti hai shab-e-gham meri tanhai se
jab sulagti hai shab-e-gham meri tanhai se
Arzoo Ashraf Sultanpuri
MORE BYArzoo Ashraf Sultanpuri
jab sulagtī hai shab-e-ġham mirī tanhā.ī se
risne lagtā hai lahū chashm-e-tamannā.ī se
us ke is tarz-e-mohabbat pe hañsī aatī hai
pyaar bhī kartā hai Dartā bhī hai rusvā.ī se
zalzala sā koī aatā hai zamīn-e-dil par
ai merī jaan ke dushman tirī añgḌā.ī se
zehn-o-dil meñ kahīñ lailā to nahīñ hai lekin
qais vāqif hai mirī fitrat-e-sahrā.ī se
dil bhī māyūs-e-mohabbat kī tarah TuuT gayā
ab guzarnā hai use rāh-e-shikastā.ī se
kaT ga.ī hijr kī zanjīr faqat ik pal meñ
mere mahbūb tirī chashm-e-karishmā.ī se
aisā lagtā hai ki Takrā ke chalī aatī hai
merī har ek sadā arsh kī ūñchā.ī se
jab sulagti hai shab-e-gham meri tanhai se
risne lagta hai lahu chashm-e-tamannai se
us ke is tarz-e-mohabbat pe hansi aati hai
pyar bhi karta hai Darta bhi hai ruswai se
zalzala sa koi aata hai zamin-e-dil par
ai meri jaan ke dushman teri angDai se
zehn-o-dil mein kahin laila to nahin hai lekin
qais waqif hai meri fitrat-e-sahrai se
dil bhi mayus-e-mohabbat ki tarah TuT gaya
ab guzarna hai use rah-e-shikastai se
kaT gai hijr ki zanjir faqat ek pal mein
mere mahbub teri chashm-e-karishmai se
aisa lagta hai ki Takra ke chali aati hai
meri har ek sada arsh ki unchai se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.