jab suna usne ki pyasa mar gaya
jab sunā us ne ki pyāsā mar gayā
sharm se bastī kā chashma mar gayā
tere aate jī uThā thā ek shaḳhs
tere jaate hī dobāra mar gayā
is tarah roke hue thā saañs maiñ
dekhne vāloñ ne samjhā mar gayā
dost jis ko DhūñDte phirte haiñ ab
mere andar kā vo laḌkā mar gayā
is liye pahchāntā koī nahīñ
kam jiyā huuñ aur ziyāda mar gayā
jis kī ḳhushbū thī hamāre shahr meñ
gaañv kā vo phuul vaalā mar gayā
tere hisse kā abhī zinda huuñ maiñ
apne hisse kā to puurā mar gayā
ab tujhe piñjre meñ rakhā jā.egā
tere hāthoñ ik parinda mar gayā
vaqt hai ik rail-gāḌī kī tarah
jis ne rokā us kā rasta mar gayā
jab suna us ne ki pyasa mar gaya
sharm se basti ka chashma mar gaya
tere aate ji uTha tha ek shaKHs
tere jate hi dobara mar gaya
is tarah roke hue tha sans main
dekhne walon ne samjha mar gaya
dost jis ko DhunDte phirte hain ab
mere andar ka wo laDka mar gaya
is liye pahchanta koi nahin
kam jiya hun aur ziyaada mar gaya
jis ki KHushbu thi hamare shahr mein
ganw ka wo phul wala mar gaya
tere hisse ka abhi zinda hun main
apne hisse ka to pura mar gaya
ab tujhe pinjre mein rakha jaega
tere hathon ek parinda mar gaya
waqt hai ek rail-gaDi ki tarah
jis ne roka us ka rasta mar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.