jab tabassum aap farmane lage
jab tabassum aap farmāne lage
phir haqīqat mujh ko afsāne lage
ai mohabbat tujh se kyā bichhḌe ki ham
aa.ine meñ ḳhud ko anjāne lage
gungunānā chāhiye aisī ġhazal
un kī āñkhoñ meñ bhī niiñd aane lage
merī tanhā.ī mirā ġham dekh kar
āsmāñ bhī ashk barsāne lage
aap ko maiñ dost samjhā thā 'nazar'
aap bhī ab tanz farmāne lage
jab tabassum aap farmane lage
phir haqiqat mujh ko afsane lage
ai mohabbat tujh se kya bichhDe ki hum
aaine mein KHud ko anjaane lage
gungunana chahiye aisi ghazal
un ki aankhon mein bhi nind aane lage
meri tanhai mera gham dekh kar
aasman bhi ashk barsane lage
aap ko main dost samjha tha 'nazar'
aap bhi ab tanz farmane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.