jab tabiat qafas mein ghabrai
jab tabī.at qafas meñ ghabrā.ī
ham ne jaanā ki phir bahār aa.ī
yaad aao na bhūlne vaalo
mujh se chhīno na merī tanhā.ī
ḳhud ko ik ajnabī sā lagtā huuñ
kyā huī aap se shanāsā.ī
ham ne har shaḳhs meñ tujhe paayā
ham sā hogā na koī harjā.ī
phir mahakne lagā dayār-e-ḳhayāl
phir kisī gul-badan kī yaad aa.ī
dil meñ āvārgī kī ḳhvāhish par
phir tasavvur meñ zulf lahrā.ī
'soz' jiinā paḌā bahar-sūrat
un pe marne kī kyā sazā paa.ī
jab tabiat qafas mein ghabrai
hum ne jaana ki phir bahaar aai
yaad aao na bhulne walo
mujh se chhino na meri tanhai
KHud ko ek ajnabi sa lagta hun
kya hui aap se shanasai
hum ne har shaKHs mein tujhe paya
hum sa hoga na koi harjai
phir mahakne laga dayar-e-KHayal
phir kisi gul-badan ki yaad aai
dil mein aawargi ki KHwahish par
phir tasawwur mein zulf lahrai
'soz' jina paDa bahar-surat
un pe marne ki kya saza pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.