Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab tak apne dil mein un ka gham raha

Ahsan Marahravi

jab tak apne dil mein un ka gham raha

Ahsan Marahravi

jab tak apne dil meñ un ġham rahā

hasratoñ raat din mātam rahā

hijr meñ dil na thā sāthī koī

dard uTh uTh kar sharīk-e-ġham rahā

kar ke dafn apne parā.e chal diye

bekasī qabr par mātam rahā

saikḌoñ sar tan se kar Daale judā

un ke ḳhanjar vahī dam-ḳham rahā

aaj ik shor-e-qayāmat thā bapā

tere kushto ajab aalam rahā

hasrateñ mil mil ke rotīñ yaas se

yuuñ dil-e-marhūm mātam rahā

le gayā kū-e-yār 'ahsan' vahī

mudda.ī kab dostoñ se kam rahā

jab tak apne dil mein un ka gham raha

hasraton ka raat din matam raha

hijr mein dil ka na tha sathi koi

dard uTh uTh kar sharik-e-gham raha

kar ke dafn apne parae chal diye

bekasi ka qabr par matam raha

saikDon sar tan se kar Dale juda

un ke KHanjar ka wahi dam-KHam raha

aaj ek shor-e-qayamat tha bapa

tere kushto ka ajab aalam raha

hasraten mil mil ke rotin yas se

yun dil-e-marhum ka matam raha

le gaya ta ku-e-yar 'ahsan' wahi

muddai kab doston se kam raha

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

jab tak apne dil mein un ka gham raha Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now