jab tak bulandiyon pe adab se khaDi rahi
jab tak bulandiyoñ pe adab se khaḌī rahī
ye kāmrānī sab kī nazar meñ baḌī rahī
vahshat meñ vo sadā.eñ to detā rahā mujhe
maiñ ḳhaak thī to ḳhaak meñ hī bas paḌī rahī
dilkash mujhe banāyā musavvir ne jaane kyoñ
jo bandishoñ ke frame meñ har dam jaḌī rahī
us ne kahā ki jism ke through ruuh kī hai raah
maiñ bypass road kī zid par aḌī rahī
yuuñ to kalā.ī par hai sabhī ke ghaḌī magar
bas maiñ kahāñ kisī ke koī bhī ghaḌī rahī
maiñ mom kā badan liye chaltī rahī 'anā'
aur dhuup mere sar pe hamesha kaḌī rahī
jab tak bulandiyon pe adab se khaDi rahi
ye kaamrani sab ki nazar mein baDi rahi
wahshat mein wo sadaen to deta raha mujhe
main KHak thi to KHak mein hi bas paDi rahi
dilkash mujhe banaya musawwir ne jaane kyon
jo bandishon ke frame mein har dam jaDi rahi
us ne kaha ki jism ke through ruh ki hai rah
main bypass road ki zid par aDi rahi
yun to kalai par hai sabhi ke ghaDi magar
bas main kahan kisi ke koi bhi ghaDi rahi
main mom ka badan liye chalti rahi 'ana'
aur dhup mere sar pe hamesha kaDi rahi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.