jab tak dil-e-KHwabida bedar nahin hota
jab tak dil-e-ḳhvābīda bedār nahīñ hotā
mai-ḳhvār haqīqat meñ mai-ḳhvār nahīñ hotā
jo chiiz hai duniyā kī ik ḳhaas atiyya hai
qatra ho ki zarra ho bekār nahīñ hotā
dekhā hai jinheñ vaqf-e-ādāb-e-ġham-e-jānāñ
un se ġham-e-jānāñ kā iz.hār nahīñ hotā
hamdardī-e-ālam par kyā naaz kare koī
jab dil hī mohabbat meñ ġham-ḳhvār nahīñ hotā
tum sher to kahte ho ye ilm bhī hai tum ko
dil se na agar nikle talvār nahīñ hotā
inkār kā matlab hī iqrār-e-mohabbat hai
'shā.ir' lab-e-jānāñ par iqrār nahīñ hotā
jab tak dil-e-KHwabida bedar nahin hota
mai-KHwar haqiqat mein mai-KHwar nahin hota
jo chiz hai duniya ki ek KHas atiyya hai
qatra ho ki zarra ho bekar nahin hota
dekha hai jinhen waqf-e-adab-e-gham-e-jaanan
un se gham-e-jaanan ka izhaar nahin hota
hamdardi-e-alam par kya naz kare koi
jab dil hi mohabbat mein gham-KHwar nahin hota
tum sher to kahte ho ye ilm bhi hai tum ko
dil se na agar nikle talwar nahin hota
inkar ka matlab hi iqrar-e-mohabbat hai
'shair' lab-e-jaanan par iqrar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.