jab tak KHalish-e-dard-e-KHuda-dad rahegi
jab tak ḳhalish-e-dard-e-ḳhudā-dād rahegī
duniyā dil-e-nāshād kī ābād rahegī
ruuh apnī hai begāna-e-har-jannat-o-dozaḳh
gum ho ke har ik qaid se āzād rahegī
jo ḳhaak kā putlā vahī sahrā kā bagūla
miTne pe bhī ik hastī-e-barbād rahegī
shaitān kā shaitān farishte kā farishta
insān kī ye bul-ajabī yaad rahegī
haañ vus.at-e-zanjīr tak āzād bhī huuñ maiñ
hastī mirī majmū'a-e-azdād rahegī
har shaam huī sub.h ko ik ḳhvāb-e-farāmosh
duniyā yahī duniyā hai to kyā yaad rahegī
shohra hai 'yagānā' tirī begāna-ravī kā
vallāh ye begāna-ravī yaad rahegī
jab tak KHalish-e-dard-e-KHuda-dad rahegi
duniya dil-e-nashad ki aabaad rahegi
ruh apni hai begana-e-har-jannat-o-dozaKH
gum ho ke har ek qaid se aazad rahegi
jo KHak ka putla wahi sahra ka bagula
miTne pe bhi ek hasti-e-barbaad rahegi
shaitan ka shaitan farishte ka farishta
insan ki ye bul-ajabi yaad rahegi
han wusat-e-zanjir tak aazad bhi hun main
hasti meri majmu'a-e-azdad rahegi
har sham hui subh ko ek KHwab-e-faramosh
duniya yahi duniya hai to kya yaad rahegi
shohra hai 'yagana' teri begana-rawi ka
wallah ye begana-rawi yaad rahegi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 82)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.