jab tak khuli nahin thi asrar lag rahi thi
jab tak khulī nahīñ thī asrār lag rahī thī
ye zindagī mujhe bhī dushvār lag rahī thī
mujh par jhukī huī thī phūloñ kī ek Daalī
lekin vo mere sar par talvār lag rahī thī
chhūte hī jaane kaise qadmoñ meñ aa girī vo
jo fāsle se ūñchī dīvār lag rahī thī
shahroñ meñ aa ke kaise āhista-rau huā maiñ
sahrā meñ tez apnī raftār lag rahī thī
lahroñ ke jāgne par kuchh bhī na kaam aa.ī
kyā chiiz thī jo mujh ko patvār lag rahī thī
ab kitnī kār-āmad jañgal meñ lag rahī hai
vo raushnī jo ghar meñ bekār lag rahī thī
TuuTā huā hai shāyad vo bhī hamāre jaisā
āvāz us kī jaise jhankār lag rahī thī
'ālam' ġhazal meñ Dhal kar kyā ḳhuub lag rahī hai
jo Tiis mere dil kā āzār lag rahī thī
jab tak khuli nahin thi asrar lag rahi thi
ye zindagi mujhe bhi dushwar lag rahi thi
mujh par jhuki hui thi phulon ki ek Dali
lekin wo mere sar par talwar lag rahi thi
chhute hi jaane kaise qadmon mein aa giri wo
jo fasle se unchi diwar lag rahi thi
shahron mein aa ke kaise aahista-rau hua main
sahra mein tez apni raftar lag rahi thi
lahron ke jagne par kuchh bhi na kaam aai
kya chiz thi jo mujh ko patwar lag rahi thi
ab kitni kar-amad jangal mein lag rahi hai
wo raushni jo ghar mein bekar lag rahi thi
TuTa hua hai shayad wo bhi hamare jaisa
aawaz us ki jaise jhankar lag rahi thi
'alam' ghazal mein Dhal kar kya KHub lag rahi hai
jo Tis mere dil ka aazar lag rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.