jab tak ki dil mein dard na paida kare koi
jab tak ki dil meñ dard na paidā kare koī
kāfir hai vo jo ishq kā da.avā kare koī
dil lūTnā hai kaam tirā ai hasīñ na dekh
royā kare balā se ki taḌpā kare koī
ham muntazir haiñ kab se tamannā-e-dīd ke
band-e-naqāb-e-husn magar vā kare koī
maanā ki vo vafā ke parastār haiñ magar
pās-e-yaqīñ jo ho to tamannā kare koī
vo muqtadī-e-ishq thā maiñ huuñ imām-e-ishq
hargiz na mujh se qais kā charchā kare koī
jab tak ki dil mein dard na paida kare koi
kafir hai wo jo ishq ka dawa kare koi
dil luTna hai kaam tera ai hasin na dekh
roya kare bala se ki taDpa kare koi
hum muntazir hain kab se tamanna-e-did ke
band-e-naqab-e-husn magar wa kare koi
mana ki wo wafa ke parastar hain magar
pas-e-yaqin jo ho to tamanna kare koi
wo muqtadi-e-ishq tha main hun imam-e-ishq
hargiz na mujh se qais ka charcha kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.