jab tak ki dil mein jazba-e-diwangi na ho
jab tak ki dil meñ jazba-e-dīvāngī na ho
lazzat-kash-e-hayāt-e-vafā be-ḳhudī na ho
kyā vo kareñge jalva-e-jānāñ kī aarzū
jin kī nazar meñ jur.at-e-nazzārgī na ho
ghabrā gayā huuñ ziist kī talḳhī se is qadar
is zindagī ke baa'd koī zindagī na ho
maanā ḳhushī meñ hotā hai be-ḳhud har aadmī
ḳhud ko bhī bhuul jā.ūñ maiñ aisī ḳhushī na ho
aa ai ġham-e-hayāt tujhe DhūñDhtā hai dil
vo ziist kyā ki jis meñ ġham-e-zindagī na ho
duniyā kī tīrgī ko miTā.eñge kis tarah
jin ke dil-o-nigāh meñ kuchh raushnī na ho
rah rah ke uTh rahā hai har ik samt kyoñ dhuāñ
nafrat kī aag shahr meñ har-sū lagī na ho
fikr-e-suḳhan ke vāste ġham chāhiye 'nashāt'
jab tak ki dil meñ dard na ho shā.irī na ho
jab tak ki dil mein jazba-e-diwangi na ho
lazzat-kash-e-hayat-e-wafa be-KHudi na ho
kya wo karenge jalwa-e-jaanan ki aarzu
jin ki nazar mein jurat-e-nazzargi na ho
ghabra gaya hun zist ki talKHi se is qadar
is zindagi ke ba'd koi zindagi na ho
mana KHushi mein hota hai be-KHud har aadmi
KHud ko bhi bhul jaun main aisi KHushi na ho
aa ai gham-e-hayat tujhe DhunDhta hai dil
wo zist kya ki jis mein gham-e-zindagi na ho
duniya ki tirgi ko miTaenge kis tarah
jin ke dil-o-nigah mein kuchh raushni na ho
rah rah ke uTh raha hai har ek samt kyon dhuan
nafrat ki aag shahr mein har-su lagi na ho
fikr-e-suKHan ke waste gham chahiye 'nashat'
jab tak ki dil mein dard na ho shairi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.