jab tak ki dil na laga un be-murawwaton se
jab tak ki dil na laagā un be-muravvatoñ se
ayyām apne guzre kyā kyā farāġhatoñ se
bālīn par bhī zālim Tuk yak nazar na dekhā
āshiq ne jaan dī to par kyā hī hasratoñ se
mat pūchh ye ki tujh bin shab kis tarah se guzrī
kaaTī to raat lekin kin kin musībatoñ se
mazmūn soz-e-dil kā kahte hī uḌne laage
harf o nuqat sharar-sāñ yaksāñ kitābatoñ se
'bedār' sair-e-gulshan kyūñ-kar ḳhush aave mujh ko
juuñ laala daaġh hai dil yāroñ kī furqatoñ se
jab tak ki dil na laga un be-murawwaton se
ayyam apne guzre kya kya faraghaton se
baalin par bhi zalim Tuk yak nazar na dekha
aashiq ne jaan di to par kya hi hasraton se
mat puchh ye ki tujh bin shab kis tarah se guzri
kaTi to raat lekin kin kin musibaton se
mazmun soz-e-dil ka kahte hi uDne lage
harf o nuqat sharar-san yaksan kitabaton se
'bedar' sair-e-gulshan kyun-kar KHush aawe mujh ko
jun lala dagh hai dil yaron ki furqaton se
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.