jab tak ki KHub waqif-e-raaz-e-nihan na hun
jab tak ki KHub waqif-e-raaz-e-nihan na hun
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
jab tak ki ḳhuub vāqif-e-rāz-e-nihāñ na huuñ
maiñ to suḳhan meñ ishq ke bolūñ na haañ na huuñ
ḳhalvat meñ terī baar na jalvat meñ mujh ko haa.e
bāteñ jo dil meñ bhar rahī haiñ so kahāñ kahūñ
gaahe jo us kī yaad se ġhāfil ho ek dam
mujh ko dahan meñ apne lagī hai zabāñ zubūñ
shatt-e-amīq-e-ishq ko ye chāhtā huuñ maiñ
abr-e-mizha se ro ke use be-karāñ karūñ
tūfān-e-nūh aañkh na ham se milā sake
aatī nazar haiñ chashm se har pal ayaañ uyuuñ
nāseh ḳhayāl-e-ḳhām se kyā is se fā.eda
kab mere dil se ho havas-e-dil-barāñ barūñ
ye iḳhtilāt kījiye mauqūf nāsehā
ma.aqūl ya.anī dil use ai qadr-dāñ na duuñ
'inshā' karūñ jo pairvī-e-shaiḳh-o-barhaman
maiñ bhī unhoñ kī tarah se juuñ gumrahāñ rahūñ
ḳhalvat-sarā-e-dil meñ hai ho kar ke mo.atakif
baiThā huuñ kyā ġharaz kahīñ ai jāhilāñ hilūñ
jab tak ki KHub waqif-e-raaz-e-nihan na hun
main to suKHan mein ishq ke bolun na han na hun
KHalwat mein teri bar na jalwat mein mujh ko hae
baaten jo dil mein bhar rahi hain so kahan kahun
gahe jo us ki yaad se ghafil ho ek dam
mujh ko dahan mein apne lagi hai zaban zubun
shatt-e-amiq-e-ishq ko ye chahta hun main
abr-e-mizha se ro ke use be-karan karun
tufan-e-nuh aankh na hum se mila sake
aati nazar hain chashm se har pal ayan uyun
naseh KHayal-e-KHam se kya is se faeda
kab mere dil se ho hawas-e-dil-baran barun
ye iKHtilat kijiye mauquf naseha
maqul yani dil use ai qadr-dan na dun
'insha' karun jo pairwi-e-shaiKH-o-barhaman
main bhi unhon ki tarah se jun gumrahan rahun
KHalwat-sara-e-dil mein hai ho kar ke moatakif
baiTha hun kya gharaz kahin ai jahilan hilun
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.