jab tak ki tu jalwa-gar na howe
jab tak ki tu jalwa-gar na howe
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
jab tak ki tū jalva-gar na hove
merī shab-e-ġham sahar na hove
afsos ki jis se ham guzar jaa.eñ
aur terā udhar guzar na hove
āshiq tirā apnī jaan kho de
par haif tujhe ḳhabar na hove
mar jaa.eñ ham aah karte karte
aur dil meñ tire asar na hove
sad-haif 'zamīr' ham to ro.eñ
us kī kabhī chashm tar na hove
jab tak ki tu jalwa-gar na howe
meri shab-e-gham sahar na howe
afsos ki jis se hum guzar jaen
aur tera udhar guzar na howe
aashiq tera apni jaan kho de
par haif tujhe KHabar na howe
mar jaen hum aah karte karte
aur dil mein tere asar na howe
sad-haif 'zamir' hum to roen
us ki kabhi chashm tar na howe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.