jab tak mere honTon pe tera nam rahega
jab tak mire hoñToñ pe tirā naam rahegā
dil be-ḳhabar-e-gardish-e-ayyām rahegā
miT jā.egā har naqsh-e-ḳhayāl-e-ġham-e-hastī
lekin varaq-e-dil pe tirā naam rahegā
kyuuñ Dar hai gunāhoñ ke sabab hashr ke din se
ham jānte haiñ un kā karam aam rahegā
paiġhām to ā.eñge bahut dair-o-haram se
lekin tirī chaukhaT se mujhe kaam rahegā
mai-ḳhāna salāmat hai agar terī nazar kā
labrez ma-e-ishq se har jaam rahegā
dāman hai agar terā mire dast-e-talab meñ
āġhāz se behtar mirā anjām rahegā
jā.egī na dil se tire aariz kī mohabbat
zulfoñ kā tasavvur mujhe har shaam rahegā
āñkheñ hī nahīñ terī 'fanā' diid ke qābil
tū jalva-gah-e-yār meñ nākām rahegā
jab tak mere honTon pe tera nam rahega
dil be-KHabar-e-gardish-e-ayyam rahega
miT jaega har naqsh-e-KHayal-e-gham-e-hasti
lekin waraq-e-dil pe tera nam rahega
kyun Dar hai gunahon ke sabab hashr ke din se
hum jaante hain un ka karam aam rahega
paigham to aaenge bahut dair-o-haram se
lekin teri chaukhaT se mujhe kaam rahega
mai-KHana salamat hai agar teri nazar ka
labrez ma-e-ishq se har jam rahega
daman hai agar tera mere dast-e-talab mein
aaghaz se behtar mera anjam rahega
jaegi na dil se tere aariz ki mohabbat
zulfon ka tasawwur mujhe har sham rahega
aankhen hi nahin teri 'fana' did ke qabil
tu jalwa-gah-e-yar mein nakaam rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.