jab tak mujhe KHayal tere aastan ka tha
jab tak mujhe ḳhayāl tire āstāñ kā thā
rishta koī chaman se na ġham āshiyāñ kā thā
kuchh ḳhauf bāġhbāñ kā na barq-e-tapāñ kā thā
jab tak mirī nazar meñ samāñ gulsitāñ kā thā
dīdār-e-zul-jalāl pe āmāda ho gayā
kyā hausla nigāh-e-dil-e-nā-tavāñ kā thā
le kar kahāñ kahāñ phirā sail-e-junūñ mujhe
pahuñchī vahīñ pe ḳhaak Thikānā jahāñ kā thā
uTh kar chale to aa.e tirī bazm se magar
naqsha nazar ke sāmne haft-āsmāñ kā thā
turbat meñ bhī na sone diyā chain se mujhe
saaya mirī zamīn pe kis āsmāñ kā thā
ik chehra-e-karaḳht ne chauñkā diyā mujhe
dekhā jo ġhaur se to kisī mehrbāñ kā thā
kuchh soch kar jo 'shaiḳh' jī ḳhāmosh ho ga.e
samjhe sabhī qusūr usī be-zabāñ kā thā
jab tak mujhe KHayal tere aastan ka tha
rishta koi chaman se na gham aashiyan ka tha
kuchh KHauf baghban ka na barq-e-tapan ka tha
jab tak meri nazar mein saman gulsitan ka tha
didar-e-zul-jalal pe aamada ho gaya
kya hausla nigah-e-dil-e-na-tawan ka tha
le kar kahan kahan phira sail-e-junun mujhe
pahunchi wahin pe KHak Thikana jahan ka tha
uTh kar chale to aae teri bazm se magar
naqsha nazar ke samne haft-asman ka tha
turbat mein bhi na sone diya chain se mujhe
saya meri zamin pe kis aasman ka tha
ek chehra-e-karaKHt ne chaunka diya mujhe
dekha jo ghaur se to kisi mehrban ka tha
kuchh soch kar jo 'shaiKH' ji KHamosh ho gae
samjhe sabhi qusur usi be-zaban ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.