jab tak mujhe nasib teri dosti rahi
jab tak mujhe nasīb tirī dostī rahī
har jāda-e-hayāt meñ ik dilkashī rahī
dil meñ tire ḳhayāl kī tābāniyoñ ke saath
dard-e-shab-e-firāq kī bhī tīrgī rahī
yuuñ to har ek ġhamza-o-ishva thā dil-fareb
lekin vo ik nigāh jo dil par jamī rahī
phir is ke ba.ad ho ga.ī tārīk rāh-e-zīst
jab tak tumhārā saath rahā raushnī rahī
saaqī tirī navāzish-e-paiham ke bāvajūd
mahsūs ye huā ki abhī tishnagī rahī
tum kyā ga.e ki zindagī be-kaif ho ga.ī
jab tak ki tum qarīb rahe be-ḳhudī rahī
thā ik hujūm-e-yās jo baḌhtā gayā 'nadīm'
mahrūm-e-imbisāt mirī zindagī rahī
jab tak mujhe nasib teri dosti rahi
har jada-e-hayat mein ek dilkashi rahi
dil mein tere KHayal ki tabaniyon ke sath
dard-e-shab-e-firaq ki bhi tirgi rahi
yun to har ek ghamza-o-ishwa tha dil-fareb
lekin wo ek nigah jo dil par jami rahi
phir is ke baad ho gai tarik rah-e-zist
jab tak tumhaara sath raha raushni rahi
saqi teri nawazish-e-paiham ke bawajud
mahsus ye hua ki abhi tishnagi rahi
tum kya gae ki zindagi be-kaif ho gai
jab tak ki tum qarib rahe be-KHudi rahi
tha ek hujum-e-yas jo baDhta gaya 'nadim'
mahrum-e-imbisat meri zindagi rahi
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 231)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.