jab tak talluqat hamare bane rahe
jab tak ta.alluqāt hamāre bane rahe
ham ek dūsre ke sahāre bane rahe
jab tak khile hue the diloñ meñ ġharaz ke phuul
tum bhī hamāre ham bhī tumhāre bane rahe
ḳhvāhish ke or chhor se vāqif the ham magar
dariyā ke ār-pār kināre bane rahe
armān hāñpte rahe do khiḌkiyoñ ke beach
āñkhoñ ke darmiyān ishāre bane rahe
ḳhushbū bikhertī rahī bistar pe chāñdnī
jazbāt saarī raat sharāre bane rahe
'parvez' jab talak thā mohabbat pe iḳhtiyār
ham bhī tumhāre tum bhī hamāre bane rahe
jab tak talluqat hamare bane rahe
hum ek dusre ke sahaare bane rahe
jab tak khile hue the dilon mein gharaz ke phul
tum bhi hamare hum bhi tumhaare bane rahe
KHwahish ke or chhor se waqif the hum magar
dariya ke aar-par kinare bane rahe
arman hanpte rahe do khiDkiyon ke beach
aankhon ke darmiyan ishaare bane rahe
KHushbu bikherti rahi bistar pe chandni
jazbaat sari raat sharare bane rahe
'parwez' jab talak tha mohabbat pe iKHtiyar
hum bhi tumhaare tum bhi hamare bane rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.