jab tak tera haal bura hai
jab tak terā haal burā hai
tab tak bandā saath khaḌā hai
ruḳhsat kar to rahī hai lekin
dil āñchal se bāñdh rakhā hai
ek diyā thā peḌ ke uupar
maiñ ne samjhā chāñd rakhā hai
maiñ us ko apnā kahtā thā
tum ne koī naam rakhā hai
dil par haath rakho aur dekho
merī ḳhātir pyaar bachā hai
ye yādoñ kā kūḌā-ghar hai
dil par ye likhvā rakkhā hai
hosh-o-hāl havā haiñ mere
phir merī āvāz ḳhafā hai
koī merī baat sunegā
jis ko bhī ye phone lagā hai
jab tak tera haal bura hai
tab tak banda sath khaDa hai
ruKHsat kar to rahi hai lekin
dil aanchal se bandh rakha hai
ek diya tha peD ke upar
main ne samjha chand rakha hai
main us ko apna kahta tha
tum ne koi nam rakha hai
dil par hath rakho aur dekho
meri KHatir pyar bacha hai
ye yaadon ka kuDa-ghar hai
dil par ye likhwa rakkha hai
hosh-o-haal hawa hain mere
phir meri aawaz KHafa hai
koi meri baat sunega
jis ko bhi ye phone laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.