jab tak teri aankhon ke kanwal khilte rahenge
jab tak tirī āñkhoñ ke kañval khilte raheñge
kahne ko ġhazal ham ko sabab milte raheñge
manzil se bhī aage kisī manzil ke nishāñ haiñ
kuchh aur bhī naqsh-e-kaf-e-pā milte raheñge
ik dard banā detā hai ashkoñ ko hinā.ī
patjhaḌ meñ bhī kuchh phuul yūñhī khilte raheñge
ma.alūm nahīñ ishq kā hāsil hameñ 'naġhma'
vo ham se bichhaḌ jā.eñge yā milte raheñge
jab tak teri aankhon ke kanwal khilte rahenge
kahne ko ghazal hum ko sabab milte rahenge
manzil se bhi aage kisi manzil ke nishan hain
kuchh aur bhi naqsh-e-kaf-e-pa milte rahenge
ek dard bana deta hai ashkon ko hinai
patjhaD mein bhi kuchh phul yunhi khilte rahenge
malum nahin ishq ka hasil hamein 'naghma'
wo hum se bichhaD jaenge ya milte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.