jab tak teri nigah ka jadu chala na tha
jab tak tirī nigāh kā jaadū chalā na thā
shohra junūn-e-ishq kā itnā huā na thā
aa.e the mai-kade meñ ka.ī baar ham magar
aisā machal ke raat kā juuḌā khilā na thā
kuchh maslahat-pasand tabī.at na ban sakī
varna ham ahl-e-ġham kā muqaddar burā na thā
apnī tabāhiyoñ pe maiñ fursat ke bāvajūd
yuuñ qahqaha lagā ke abhī tak hañsā na thā
rūheñ talāsh meñ thiiñ azal hī se ai nadīm
mujh se tirā visāl koī hādisa na thā
jab tak teri nigah ka jadu chala na tha
shohra junun-e-ishq ka itna hua na tha
aae the mai-kade mein kai bar hum magar
aisa machal ke raat ka juDa khila na tha
kuchh maslahat-pasand tabiat na ban saki
warna hum ahl-e-gham ka muqaddar bura na tha
apni tabahiyon pe main fursat ke bawajud
yun qahqaha laga ke abhi tak hansa na tha
ruhen talash mein thin azal hi se ai nadim
mujh se tera visal koi hadisa na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.