jab tak tujhko maut na aae kar le rain-basera baba
jab tak tujh ko maut na aa.e kar le rain-baserā baabā
aatī jaatī is duniyā meñ kyā merā kyā terā baabā
gaañv meñ sandhyā ho ke ye kyā hai band hue haiñ sab darvāze
berī jag meñ taak meñ hai ab ek ik sā.īñ luTerā baabā
ek siyāsī chaal kī ḳhātir kitnā bhayānak qatl huā hai
pūrab pachchhim utar dakhkhin niklā surḳh saverā baabā
bahne vaalī nadiyā ko bhī kab is kā ehsās huā hai
kitnī khetī nashT huī hai jab is ne ruḳh pherā baabā
us ke raushan mukhḌe par ye bikhrī bikhrī kaalī zulfeñ
jaise jag ke ujiyāroñ par chhā.e ghor añdherā baabā
koī nahīñ thā isthāpit to is meñ the sannāTe gahre
mere man mandir meñ aa kar kis ne shor bikherā baabā
diin dharam ke panDit mullā achchhe Thekedār bane haiñ
chal kar duur kahīñ bastī se Dāleñ apnā Derā baabā
chhoTī chhoTī būñdoñ hī se tāl-talaiyāñ ban jaatī haiñ
chhoTe chhoTe phal vaalā hī dekhā peḌ ghanerā baabā
ruup na tum ne mujh ko dikhāyā shams' pe karte daan hī kuchh to
barsoñ tumhārī is nagrī meñ mañgtā ban kar Therā baabā
jab tak tujh ko maut na aae kar le rain-basera baba
aati jati is duniya mein kya mera kya tera baba
ganw mein sandhya ho ke ye kya hai band hue hain sab darwaze
beri jag mein tak mein hai ab ek ek sain luTera baba
ek siyasi chaal ki KHatir kitna bhayanak qatl hua hai
purab pachchhim utar dakhkhin nikla surKH sawera baba
bahne wali nadiya ko bhi kab is ka ehsas hua hai
kitni kheti nashT hui hai jab is ne ruKH phera baba
us ke raushan mukhDe par ye bikhri bikhri kali zulfen
jaise jag ke ujiyaron par chhae ghor andhera baba
koi nahin tha isthapit to is mein the sannaTe gahre
mere man mandir mein aa kar kis ne shor bikhera baba
din dharam ke panDit mulla achchhe Thekedar bane hain
chal kar dur kahin basti se Dalen apna Dera baba
chhoTi chhoTi bundon hi se tal-talaiyan ban jati hain
chhoTe chhoTe phal wala hi dekha peD ghanera baba
rup na tum ne mujh ko dikhaya shams' pe karte dan hi kuchh to
barson tumhaari is nagri mein mangta ban kar Thera baba
- Book : Gubar-e-shams (Pg. 65)
- Author : Shams Ramzi
- Publication : Urdu Tahzeeb, Delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.