jab tak zamin pe rengte sae rahenge hum
jab tak zamīñ pe reñgte saa.e raheñge ham
sūraj kā bojh sar pe uThā.e raheñge ham
khul kar baras hī jaa.eñ ki ThanDī ho dil kī aag
kab tak ḳhalā meñ paañv jamā.e raheñge ham
jhāñkegā ā.inoñ se koī aur jab talak
hāthoñ meñ sang-o-ḳhisht uThā.e raheñge ham
ik naqsh-e-pā kī tarah sahī is zamīn par
apnī bhī ek raah banā.e raheñge ham
jab tak na shāḳh shāḳh ke sar par ho tāj-e-gul
kāñToñ kā taaj sar pe sajā.e raheñge ham
jab tak zamin pe rengte sae rahenge hum
suraj ka bojh sar pe uThae rahenge hum
khul kar baras hi jaen ki ThanDi ho dil ki aag
kab tak KHala mein panw jamae rahenge hum
jhankega aainon se koi aur jab talak
hathon mein sang-o-KHisht uThae rahenge hum
ek naqsh-e-pa ki tarah sahi is zamin par
apni bhi ek rah banae rahenge hum
jab tak na shaKH shaKH ke sar par ho taj-e-gul
kanTon ka taj sar pe sajae rahenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.