jab talak aab-o-dana lagta hai
jab talak āb-o-dāna lagtā hai
ye jahāñ āshiyāna lagtā hai
ġhuncha ġhuncha khilā hai phūloñ sā
aap kā muskurānā lagtā hai
merī maañ kā diyā huā rūmāl
dhuup meñ shāmiyāna lagtā hai
aaj lambe safar pe chalte haiñ
aaj mausam suhānā lagtā hai
aise bachchoñ ko kaun samjhā.e
ghar jinheñ qaid-ḳhāna lagtā hai
aap kā dard dard hai lekin
dūsroñ kā bahāna lagtā hai
tū vafādār hai to phir 'ulfat'
kyuuñ burā āzmānā lagtā hai
jab talak aab-o-dana lagta hai
ye jahan aashiyana lagta hai
ghuncha ghuncha khila hai phulon sa
aap ka muskurana lagta hai
meri man ka diya hua rumal
dhup mein shamiyana lagta hai
aaj lambe safar pe chalte hain
aaj mausam suhana lagta hai
aise bachchon ko kaun samjhae
ghar jinhen qaid-KHana lagta hai
aap ka dard dard hai lekin
dusron ka bahana lagta hai
tu wafadar hai to phir 'ulfat'
kyun bura aazmana lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.