jab talak ai dost meri zindagi chalti rahe
jab talak ai dost meri zindagi chalti rahe
Santosh Singh Shekhar
MORE BYSantosh Singh Shekhar
jab talak ai dost merī zindagī chaltī rahe
chāhtā huuñ saath tere dostī chaltī rahe
jis tarah ye ḳhāmushī ab saath chaltī hai mire
Thiik vaise saath tere har ḳhushī chaltī rahe
chhoḌ kar tum jā chuke ho phir bhī ham zinda to haiñ
ya.anī kashtī ruk bhī jaa.e par nadī chaltī rahe
qahqahoñ se rābta ho aur terā ġham bhī ho
bārishoñ meñ bhiig kar bhī ye ghaḌī chaltī rahe
ittifāqan gar kahīñ vo mil ga.e to ai ḳhudā
aañkh nam ho jaa.e merī par hañsī chaltī rahe
ab tumhāre baad merī zindagī meñ kyā bachā
tīrgī hī tīrgī hai tīrgī chaltī rahe
jab talak ai dost meri zindagi chalti rahe
chahta hun sath tere dosti chalti rahe
jis tarah ye KHamushi ab sath chalti hai mere
Thik waise sath tere har KHushi chalti rahe
chhoD kar tum ja chuke ho phir bhi hum zinda to hain
yani kashti ruk bhi jae par nadi chalti rahe
qahqahon se rabta ho aur tera gham bhi ho
barishon mein bhig kar bhi ye ghaDi chalti rahe
ittifaqan gar kahin wo mil gae to ai KHuda
aankh nam ho jae meri par hansi chalti rahe
ab tumhaare baad meri zindagi mein kya bacha
tirgi hi tirgi hai tirgi chalti rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.